na jaane kya rakha hai in aankhon meinjo ithni choti ho kar bhi.. iss haseen duniyaan ko apne mein bharlethi hain.....
na jaane kya rakha hai in aankhon mein
jo bina aansoo piye... khushi aur gham ke jal bahaa dethi hain.....
na jaane kya rakha hai in aankhon mein
jo bina kuch kahe... dil ke bhavanaaon ka izhar kar lethi hain.....
aakhir.... kya rakha hai in aankhon mein jo khamosh reh kar bhi...
ithne saare sawaal kar lethi hain.....
No comments:
Post a Comment