Saturday, April 21, 2007

khwaahish..

sitharon se baathein karne ki khwaahish thi..
lekin main unhe
pahunch nahin paayi...

phoolon se dosti
karne ki khwaahish thi..
lekin main unhe
batha nahin paayi...

pavan ke jhokon se
gale lagne ki khwaahish thi..
lekin main unhe
chu nahin paayi...

panchiyon ki tharah udne ki khwaahish thi..
lekin main pankh la nahin paayi...

koyal ki tharah gaane ki khwaahish thi..
lekin main achanak apne aap ko besuri paayi...

sooraj ki tharah ugne ki khwaahish thi..
lekin main neeche kheench di gayi...

baadalon ki tharah machalne ki khwaahish thi..
lekin main unki tharah aazadi nahin paayi...

zindagi ke har rang mein jeene ki khwaahish thi..
lekin main khud zindagi ban nahin paayi...

aisi kya galthi
ho gayi mujhse..
ki main apni khwaahishon ko
bha nahin paayi...

No comments: