Tuesday, August 7, 2007

Badi kamaal ki cheez hai yeh zindagi!!!

badi kismat se mili hai,tumhe insaan ki yeh anmol zindagi...
jab bhagwan se is haseen jahan ne ki hai, ek surili bandagi

har pal ehsaan mandh rehna apni maa ka...
jisne diya hai tumhe, yeh keemthi janam

yaad karthe rehna baatein apni pitha ki...
kyonki zaroori hai, tumhari oonchayi ke liye unka karam

kar dikhana iss zamane ko kuch aisa kaam...
jo tumhari hi nahin, roshan karde poore parivaar ka naam

aage badthe rehna bina ruke apni manzil ki oor...
chaahe jithni hi mushkile, dikhaye tumhe apni zor

yuhi sajaathe rehna har pal mumkin aur meete khwaab..
sach karna unhe, jaise iss berangi duniyaan mein roshni bhardetha hai lal afthaab

chahe jithni hi buri shakthiyaan dikhaye tumhe apni kashish...
samajhdaari dikhana aur jaanna ki, woh sab hain tumhe fasaane ki saazish

kaam karna phal ki aasha math kar,yaad rakhna yeh keemthi kalaam...
jis janam bhoomi ne tumhe apna manzil dikhaya,karna usse apna salaam

tumhare aage jhukne, koi aitraaz na dikhayega yeh neela aasmaan...
aazmaao tho badi kamaal ki cheez hai yeh zindagi,jismein poore honge tumhare saare armaan

1 comment: